Sawal:-Hazrat Moosa (Alaihissalam) Ke “Asa” Mubarak Ka Kya Naam Tha?
.
Jawab:-Aap Ke “Asa” Mubarak Ke Nam Se 3 Aqwal Hai…
1.Nab’a.
2.Maasha.
3.Illiq.
Ye Asa Mubarak “Jannat” Ke Darakht (Ped) “Aas” Ki Lakdi Ka Tha.
Ye Asa Mubarak Hazrat Adam (Alaihissalam) Jannat Se Laaye The,Unse Muntaqil Hota Huwa,Hazrat Shoeb (Alaihissalam) Tak Pahuncha,Aur Aap Ne Hazrat Moosa Ko Bakriya’n Charane ke Liye Diya tha.
Is Asa Ki Lambayi Aap Ke Qad ke Barabar Thi.
{Ibn-e Kaseer,Parah-16-Ruku10}
Note: Asa “Lakdi Ke Dande” Ko Kahte Hai,Jis Se Log Sahara Leke Chalte Hai.
*********
Sawal:-Hazrat Moosa (Alaihissalam) Ke Asa Mubarak Me Kya Kya Khubiya Thi?
.
Jawab:-Aap Ke Asa Mubarak Ki Khubiya’n Is Tarah Riwayato Me Mazkoor Hain…
1. Is Asa Mubarak Ke Upar Ki 2 Shakhen Thi,Jo Tareek (Andhere) Me Dono Taraf Jalti Thi.
2.Aap Jab Safar Me Hote To Ye “Asa” Aap Se Baaten Karte Chalta Tha.
3.Aap Ko Jab Bhook Lagti,Aur Koi Cheez Khaane Peene ko Naa Hoti To, Asa Ko Zameen Par Maarte,Usse Ek Din Ka Khana Nikal Aata Tha.
4.Jab Aap Ko Piyas Lagti To Aap Zameen Par Nasab Karte To Usse Paani Ubalna Shuru Ho Jaata Tha.
5.Jab “Kuwe’n” Se Paani Kheechne ki Naubat Aati To Ye Asa Dol Ka Kaam Deta,Aur Itna Lamba Hojata Jitni Kuwen Ki Gaihrayi Hoti,Upar Ki 2 Shaakhe’n Dol Ki Tarah Banjati Thi.
5.Jab Aap Ko “Phal” Khaane Ki Khuwahish Hoti To Us Asa ko Zameen Par Dafan Kardete,Ye Asa Darakht (Ped) Banjaata,Patte Nikal Aate,Fir Phal Aajate The.
6. Jab Koi Dushman Saamne Aata To Ye “Asa” Khud Ba Khud Us se Ladta,Aur Galib Aajata Tha.
{Nuzhatul Majalis,Safa-No.23}
" POST BY MOHSIN "

Post a Comment